Sheikh Ibrahim Zauq

nigah ka war tha dil par phaDakne jaan lagi

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
nigah kā vaar thā dil par phaḌakne jaan lagī
chalī thī barchhī kisī par kisī ke aan lagī
tirā zabāñ se milānā zabāñ jo yaad aayā
na haa.e haa.e meñ taalū se phir zabān lagī
kisī ke dil kā suno haal dil lagā kar tum
jo hove dil ko tumhāre bhī mehrbān lagī
to vo hai māh-jabīñ misl-e-dīda-e-anjum
rahe hai terī taraf chashm-e-yak-jahān lagī
ḳhudā kare kahe tujh se ye kuchh ḳhudā-lagtī
ki zulf ai but-e-bad-kesh tere kaan lagī
uḌaa.ī hirs ne aa kar jahāñ meñ sab kī ḳhaak
nahīñ hai kis ko havā zer-e-āsmān lagī
kisī kī kāvish-e-mizhgāñ se aaj saarī raat
nahīñ palak se palak merī ek aan lagī
tabāh bahr-e-jahāñ meñ thī apnī kashti-e-umr
so TūT-phūT ke baare kināre aan lagī
tumhāre haath se siine meñ dil se ta-ba-jigar
sinān o ḳhanjar o paikāñ kī hai dukān lagī
ḳhadañg-e-yār mire dil se kis tarah nikle
ki us ke saath hai ai 'zauq' merī jaan lagī
Top Urdushayar.com