na kartā zabt maiñ naala to phir aisā dhuāñ hotā
ki nīche āsmāñ ke aur paidā āsmāñ hotā
kahe hai murġh-e-dil ai kaash meñ zāġh-e-kamāñ hotā
ki tā shāḳh-e-kamāñ par us kī merā āshiyāñ hotā
abhī kyā sard qātil ye shahīd-e-tufta-jāñ hotā
koī dam sham-e-murda meñ bhī hai baaqī dhuāñ hotā
na hotī dil meñ kāvish gar kisī kī nok-e-mizhgāñ kī
to kyuuñ haq meñ mire har mū-e-tan misl-e-sināñ hotā
azā-dārī meñ hai kis kī ye charḳh-e-mātamī-jāma
ki habīb-e-chāk kī sūrat hai ḳhatt-e-kahkahshāñ hotā
bagūlā gar na hotā vādi-e-vahshat meñ ai majnūñ
to gumbad ham se sar-gashtoñ kī turbat par kahāñ hotā
jo rotā khol kar dil tañgnā-e-dahr meñ āshiq
to jū-e-kahkashāñ meñ bhī falak par ḳhuuñ ravāñ hotā
na rakhtā gar na rakhtā muñh pe ye daanā marīz-e-ġham
magar terā mayassar bosa-e-ḳhāl-e-dahāñ hotā
tire ḳhūnīñ jigar kī ḳhaak par hotā agar sabza
to mizhgāñ kī tarah us se bhī paiham ḳhuuñ ravāñ hotā
rukāvaT dil kī us kāfir ke vaqt-e-zab.h zāhir hai
ki ḳhanjar merī gardan par hai ruk ruk kar ravāñ hotā
na kartā zabt maiñ girya to ai 'zauq' ik ghaḌī bhar meñ
kaTore kī tarah ghaḌiyāl ke ġharq āsmāñ hotā