dil ke qirtās pe ik lafz mohabbat likhnā
jo kabhī ishq meñ kī thī vo riyāzat likhnā
likhne baiTho jo kabhī dil kī hikāyat koī
naam us meñ mirā tum hasb-e-rivāyat likhnā
pañkhuḌī phuul kī lab aañkh hai gahrā sāgar
abrū haiñ teġh se aur chaal qayāmat likhnā
bhūlne vaale agar yaad kabhī aa jā.ūñ
bhīgī palkoñ se faqat ashk-e-nadāmat likhnā
vaise aḳhlāq kī do chaar kitābeñ paḌh kar
ham ko aatā hī nahīñ harf-e-siyāsat likhnā
tire hāthoñ ko jo mālik ne qalam sauñpā hai
jhuuT ko jhuuT sadāqat ko sadāqat likhnā
tum jinheñ kahte ho kāfar unheñ aa kar dekho
kaise karte haiñ ye insān kī ḳhidmat likhnā
ai ġham-e-ishq mire paañv ke chhāle gin kar
dasht-e-ulfat kī ye majbūr masāfat likhnā
yaad hai pahlī mohabbat kī ḳhumārī ab tak
vo daraḳhtoñ pe tirā naam 'masarrat' likhnā