Sheikh Ibrahim Zauq

chupke chupke gham ka khana koi humse sikh jae

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
chupke chupke ġham kā khānā koī ham se siikh jaa.e
jī hī jī meñ tilmilānā koī ham se siikh jaa.e
abr kyā aañsū bahānā koī ham se siikh jaa.e
barq kyā hai tilmilānā koī ham se siikh jaa.e
zikr-e-sham-e-husn laanā koī ham se siikh jaa.e
un ko dar-parda jalānā koī ham se siikh jaa.e
jhūT-mūT afyūn khānā koī ham se siikh jaa.e
un ko kaf lā kar Darānā koī ham se siikh jaa.e
sun ke aamad un kī az-ḳhud-rafta ho jaate haiñ ham
peshvā lene ko jaanā koī ham se siikh jaa.e
ham ne avval hī kahā thā tū karegā ham ko qatl
tevaroñ kā taaḌ jaanā koī ham se siikh jaa.e
lutf uThānā hai agar manzūr us ke naaz kā
pahle us kā naaz uThānā koī ham se siikh jaa.e
jo sikhāyā apnī qismat ne vagarna us ko ġhair
kyā sikhā.egā sikhānā koī ham se siikh jaa.e
dekh kar qātil ko bhar laa.e ḳharāsh-e-dil meñ ḳhuuñ
sach to ye hai muskurānā koī ham se siikh jaa.e
tiir o paikāñ dil meñ jitne the diye ham ne nikāl
apne hāthoñ ghar luTānā koī ham se siikh jaa.e
kah do qāsid se ki jaa.e kuchh bahāne se vahāñ
gar nahīñ aatā bahānā koī ham se siikh jaa.e
ḳhat meñ likhvā kar unheñ bhejā to matlā dard kā
dard-e-dil apnā jatānā koī ham se siikh jaa.e
jab kahā martā huuñ vo bole mirā sar kaaT kar
jhuuT ko sach kar dikhānā koī ham se siikh jaa.e
vaañ hile abrū yahāñ pherī gale par ham ne teġh
baat kā iimā se paanā koī ham se siikh jaa.e
teġh to ochhī paḌī thī gir paḌe ham aap se
dil ko qātil ke baḌhānā koī ham se siikh jaa.e
zaḳhm ko siite haiñ sab par sozan-e-almās se
chaak siine ke silānā koī ham se siikh jaa.e
pūchhe mullā se jise karnā ho sajda sahv kā
sīkhe gar apnā bhulānā koī ham se siikh jaa.e
kyā huā ai 'zauq' haiñ juuñ mardumuk ham rū-siyāh
lekin āñkhoñ meñ samānā koī ham se siikh jaa.e
Top Urdushayar.com