Sheikh Ibrahim Zauq

na khincho aashiq-tishna-jigar ke tir pahlu se

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
na khīñcho āshiq-tishna-jigar ke tiir pahlū se
nikāle par hai misl-e-māhi-e-tasvīr pahlū se
na le ai nāvak-afgan dil ko mere chiir pahlū se
ki vo to jā chukā saath aah ke juuñ tiir pahlū se
dil-e-sīpāra ko le Taañk tāvīzoñ meñ haikal ke
na sarkā ye hamā.il ai but-e-be-pīr pahlū se
vo hoñ be-dast-o-pā bismil rasā.ī jab na haath aa.ī
kiyā tā pā-e-qātil az tah-e-shamshīr pahlū se
asīr-e-zulf dīvāne haiñ dekh ai pāsbāñ shab ko
dabā kar baiTh un ke paañv kī zanjīr pahlū se
musavvir lailā o majnūñ kī nākāmī pe hairāñ haiñ
kabhī baiThā na mil kar pahlū-e-tasvīr pahlū se
ye dil lab-tishna teġh-e-yār kā hai raat bhar kartā
sadā-e-al-ātish juuñ nāla-e-shab-gīr pahlū se
ajab hasrat kā aalam thā ki majnūñ kahtā thā paiham
chhuTe pahlū mire mahmil kā yā taqdīr pahlū se
na kahnā ustuḳhvāñ un ko ye aalam lāġharī kā hai
ki hai dikhlā rahā merā dil-e-dil-gīr pahlū se
ḳhayāl-e-abru-e-jānāñ nahīñ ab bhūltā ik dam
sipāhī hai judā kartā nahīñ shamshīr pahlū se
tamām ahl-e-suḳhan bazm-e-suḳhan meñ 'zauq' hairāñ haiñ
milā jo qāfiya tū ne kiyā tahrīr pahlū se
Top Urdushayar.com