Sheikh Ibrahim Zauq

nala is shor se kyun mera duhai deta

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
naala is shor se kyuuñ merā duhā.ī detā
ai falak gar tujhe ūñchā na sunā.ī detā
dekh chhoToñ ko hai allāh baḌā.ī detā
āsmāñ aañkh ke til meñ hai dikhā.ī detā
laakh detā falak āzār gavāra the magar
ek terā na mujhe dard-e-judā.ī detā
de duā vādī-e-pur-ḳhār-e-junūñ ko har gaam
daad ye terī hai ai ābla-pā.ī detā
ravish-e-ashk girā deñge nazar se ik din
hai in āñkhoñ se yahī mujh ko dikhā.ī detā
muñh se bas karte kabhī ye na ḳhudā ke bande
gar harīsoñ ko ḳhudā saarī ḳhudā.ī detā
panja-e-mehr ko bhī ḳhūn-e-shafaq meñ har roz
ġhote kyā kyā hai tirā dast-e-hinā.ī detā
kaun ghar ā.īne ke aatā agar vo ghar meñ
ḳhāksārī se na jārūb-e-safā.ī detā
maiñ huuñ vo said ki phir daam meñ phañstā jā kar
gar qafas se mujhe sayyād rihā.ī detā
ḳhūgar-e-nāz huuñ kis kā ki mujhe sāġhar-e-mai
bosa-e-lab nahīñ be-chashm-numā.ī detā
dekh gar dekhnā hai 'zauq' ki vo parda-nashīñ
dīda-e-rauzan-e-dil se hai dikhā.ī detā
Top Urdushayar.com