jab chalā vo mujh ko bismil ḳhuuñ meñ ġhaltāñ chhoḌ kar
kyā hī pachhtātā thā maiñ qātil kā dāmāñ chhoḌ kar
maiñ vo majnūñ huuñ jo niklūñ kunj-e-zindāñ chhoḌ kar
seb-e-jannat tak na khā.ūñ sañg-e-tiflāñ chhoḌ kar
piive merā hī lahū maanī jo lab us shoḳh ke
khīñche to shañgarf se ḳhūn-e-shahīdāñ chhoḌ kar
maiñ huuñ vo gumnām jab daftar meñ naam aayā mirā
rah gayā bas munshi-e-qudart jagah vaañ chhoḌ kar
sāya-e-sarv-e-chaman tujh bin Darātā hai mujhe
saañp sā paanī meñ ai sarv-ḳhirāmāñ chhoḌ kar
ho gayā tiflī hī se dil meñ tarāzū tīr-e-ishq
bhāge haiñ maktab se ham aurāq-e-mīzāñ chhoḌ kar
ahl-e-jauhar ko vatan meñ rahne detā gar falak
laal kyuuñ is rañg se aatā badaḳhshāñ chhoḌ kar
shauq hai us ko bhī tarz-e-nāla-e-ushshāq se
dam-ba-dam chheḌe hai muñh se dūd-e-qulyāñ chhoḌ kar
dil to lagte hī lage gā hūryān-e-adn se
bāġh-e-hastī se chalā huuñ haa.e pariyāñ chhoḌ kar
ghar se bhī vāqif nahīñ us ke ki jis ke vāste
baiThe haiñ ghar-bār ham sab ḳhāna-vīrāñ chhoḌ kar
vasl meñ gar hove mujh ko rūyat-e-māh-e-rajab
rū-e-jānāñ hī ko dekhūñ maiñ to qur.āñ chhoḌ kar
in dinoñ garche dakan meñ hai baḌī qadr-e-suḳhan
kaun jaa.e 'zauq' par dillī kī galiyāñ chhoḌ kar