Sheikh Ibrahim Zauq

koi kamar ko teri kuchh jo ho kamar to kahe

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
koī kamar ko tirī kuchh jo ho kamar to kahe
ki aadmī jo kahe baat soch kar to kahe
mirī haqīqat-e-pur-dard ko kabhī us se
ba-āh-o-nāla na kahve ba-chashm-e-tar to kahe
ye aarzū hai jahannam ko bhī ki ātish-e-ishq
mujhe na shola gar apnā kahe sharar to kahe
ba-qadr-e-māya nahīñ gar har ik kā rutba o naam
to haañ habāb ko dekheñ koī guhar to kahe
kahe jo kuchh mujhe nāseh nahīñ vo dīvāna
ki jāntā hai kahe kā ho kuchh asar to kahe
jal uTThe sham.a ke mānind qissa-ḳhvāñ kī zabāñ
hamārā qissa-e-pur-soz lahza bhar to kahe
sadā hai ḳhuuñ meñ bhī mansūr ke anal-haq kī
kahe agar koī tauhīd is qadar to kahe
majāl hai ki tire aage fitna dam maare
kahegā aur to kyā pahle al-hazar to kahe
bane balā se mirā murġh-e-nāma-bar bhañvrā
ki us ko dekh ke vo muñh se ḳhush-ḳhabar to kahe
har ek sher meñ mazmūn-e-girya hai mere
mirī tarah se koī 'zauq' sher-e-tar to kahe
Top Urdushayar.com