Sheikh Ibrahim Zauq

wo kaun hai jo mujh pe tassuf nahin karta

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
vo kaun hai jo mujh pe ta.assuf nahīñ kartā
par merā jigar dekh ki maiñ uf nahīñ kartā
kyā qahr hai vaqfa hai abhī aane meñ us ke
aur dam mirā jaane meñ tavaqquf nahīñ kartā
kuchh aur gumāñ dil meñ na guzre tire kāfir
dam is liye maiñ sūra-e-yūsuf nahīñ kartā
paḌhtā nahīñ ḳhat ġhair mirā vaañ kisī unvāñ
jab tak ki vo mazmūñ meñ tasarruf nahīñ kartā
dil faqr kī daulat se mirā itnā ġhanī hai
duniyā ke zar-o-māl pe maiñ tuf nahīñ kartā
tā-sāf kare dil na mai-e-sāf se suufī
kuchh sūd-o-safā ilm-e-tasavvuf nahīñ kartā
ai 'zauq' takalluf meñ hai taklīf sarāsar
ārām meñ hai vo jo takalluf nahīñ kartā
Top Urdushayar.com