Sheikh Ibrahim Zauq

qufl-e-sad-KHana-e-dil aaya jo tu TuT gae

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
qufl-e-sad-ḳhāna-e-dil aayā jo tū TuuT ga.e
jo tilismāt na TuuTe the kabhū TuuT ga.e
saikḌoñ kaasa sar-e-dahr meñ mānind-e-habāb
kabhū ai charḳh bane tujh se kabhū TuuT ga.e
Tāñke kyā jaib ke phir bād-e-rafū TuuT ga.e
ho ke nāḳhun kabhī siine meñ faro TuuT ga.e
tū jo kahtā hai ki de ġhair ko bhī sāġhar-e-mai
haath kyā us ke haiñ ai ā.īna-rū TuuT ga.e
kyūñke bin kashtī-e-mai kījiye sair-e-dariyā
mai-kasho zer-e-baġhal ab to kadū TuuT ga.e
dekh kar surme kī tahrīr tirī āñkhoñ meñ
kāfiroñ ke bhī haiñ zunnār gulū TuuT ga.e
sadma-e-ġham se tire juuñ gul-bāzī afsos
saare a.azā mire ai arbada-jū TuuT ga.e
sañg-e-ġhairat se ka.ī ā.īne ai ahd shikan
dekh kar saaf tirā rū-e-nakū TuuT ga.e
tiir dil se vo nikalte haiñ koī jazba-e-shauq
nikle sūfār jo siine se gulū TuuT ga.e
dil shikasta hī rahā ba.ad-e-fanā bhī maiñ to
ki mirī ḳhaak se bante hī subū TuuT ga.e
shiddat-e-girya se thā raat ye ashkoñ kā hujūm
chashm-e-tar phir mire mizhgāñ ke haiñ mū TuuT ga.e
gulshan-e-ishq meñ allāh hai kyā kasrat-e-bār
bin havā kitne hī naḳhl-e-lab-e-jū TuuT ga.e
kah ba-tabdīl-e-qavāfī ġhazal ik aur bhī 'zauq'
dekheñ biThlā.e hai kis tarah se tū TuuT ga.e
Top Urdushayar.com