Sheikh Ibrahim Zauq

barq mera aashiyan kab ka jala kar le gai

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
barq merā āshiyāñ kab kā jalā kar le ga.ī
kuchh jo ḳhākistar bachā āñdhī uḌā kar le ga.ī
us ke qadmoñ tak na betābī baḌhā kar le ga.ī
haa.e do palTe diye aur phir haTā kar le ga.ī
nā-tavānī ham ko hāthoñ haath uThā kar le ga.ī
chyūñTī se chyūñTī daana chhuḌā kar le ga.ī
sub.h-e-ruḳh se kaun shām-e-zulf meñ jaatā thā aah
ai dil-e-shāmat-zada shāmat lagā kar le ga.ī
ḳhuun se farhād ke rañgīñ huā dāmān-e-koh
kyuuñ na mauj-e-shīr ye dhabbā chhuḌā kar le ga.ī
tum ne to chhoḌā hī thā ai hamrahān-e-qāfila
lekin āvāz-e-jaras ham ko jagā kar le ga.ī
nok-e-mizhgāñ jab huī sīna-fagāroñ se do-chār
pāra-hā-e-dil se gul-dasta banā kar le ga.ī
dekhī kuchh dil kī kashish lailā ki naaqe ko tire
sū-e-majnūñ āḳhirash rasta bhulā kar le ga.ī
vaah ai soz-e-darūñ kūche meñ us ke barq-e-āh
raat ham ko har qadam mish.al dikhā kar le ga.ī
vo ga.e ghar ġhair ke aur yaañ hameñ dam bhar ke baad
bad-gumānī un ke ghar sū ghar phirā kar le ga.ī
jo shahīd-e-nāz kūche meñ tumhāre thā paḌā
kyā kahūñ taqdīr use kyūñkar uThā kar le ga.ī
dasht-e-vahshat meñ bagūlā thā ki dīvāna tirā
rūh-e-majnūñ bahr-e-istiqbāl aa kar le ga.ī
aag meñ hai kaun gir paḌtā magar parvāne ko
ātish-e-soz-e-mohabbat thī jalā kar le ga.ī
ai parī pahlū se mere kyā kahūñ terī nigāh
dil uḌā kar le ga.ī yā par lagā kar le ga.ī
'zauq' mar jaane kā to apne koī mauqā na thā
kū-e-jānāñ meñ ajal nāhaq lagā kar le ga.ī
Top Urdushayar.com