mil ke ik baar use yaad nahīñ hone ke
dil ke ujḌe nagar ābād nahīñ hone ke
ab na.e zulm to ījād nahīñ hone ke
sāhibā ham koī fariyād nahīñ hone ke
sachche ushshāq to nāpaid hue duniyā meñ
ab koī shīrīñ-o-farhād nahīñ hone ke
dil meñ Thānī hai bhulā deñ tumheñ dhīre dhīre
aur is ishq meñ barbād nahīñ hone ke
ek va.ade ne yuuñ pā-basta kiyā hai ham ko
ab kisī taur bhī āzād nahīñ hone ke
ham ne har haal meñ jiine kī qasam khaa.ī hai
ham kabhī ziist meñ nāshād nahīñ hone ke
ek kam-zarf se kyā zarf kī umiid kareñ
haiñ jo baune kabhī shamshād nahīñ hone ke