Sheikh Ibrahim Zauq

guhar ko jauhari sarraf zar ko dekhte hain

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
guhar ko jauharī sarrāf zar ko dekhte haiñ
bashar ke haiñ jo mubassir bashar ko dekhte haiñ
na ḳhuub o zisht na aib-o-hunar ko dekhte haiñ
ye chiiz kyā hai bashar ham bashar ko dekhte haiñ
vo dekheñ bazm meñ pahle kidhar ko dekhte haiñ
mohabbat aaj tire ham asar ko dekhte haiñ
vo apnī burrish-e-teġh-e-nazar ko dekhte haiñ
ham un ko dekhte haiñ aur jigar ko dekhte haiñ
jab apne girya o soz-e-jigar ko dekhte haiñ
sulagtī aag meñ ham ḳhushk-o-tar ko dekhte haiñ
rafīq jab mire zaḳhm-e-jigar ko dekhte haiñ
to chārāgar unheñ vo chārāgar ko dekhte haiñ
na tumtarāq ko ne karr-o-farr ko dekhte haiñ
ham aadmī ke sifāt o siyar ko dekhte haiñ
jo raat ḳhvāb meñ us fitnagar ko dekhte haiñ
na pūchh ham jo qayāmat sahar ko dekhte haiñ
vo roz ham ko guzartā hai jaise iid kā din
kabhī jo shakl tumhārī sahar ko dekhte haiñ
jahāñ ke ā.īnoñ se dil kā ā.īna hai judā
is ā.īne meñ ham ā.īna-gar ko dekhte haiñ
banā ke ā.īna dekhe hai pahle ā.īna-gar
hunar-var apne hī aib-o-hunar ko dekhte haiñ
Top Urdushayar.com