ab to ghabrā ke ye kahte haiñ ki mar jā.eñge
mar ke bhī chain na paayā to kidhar jā.eñge
tum ne Thahrā.ī agar ġhair ke ghar jaane kī
to irāde yahāñ kuchh aur Thahar jā.eñge
ḳhālī ai chāragaro hoñge bahut marham-dāñ
par mire zaḳhm nahīñ aise ki bhar jā.eñge
pahuñcheñge rahguzar-e-yār talak kyuuñ kar ham
pahle jab tak na do aalam se guzar jā.eñge
shola-e-āh ko bijlī kī tarah chamkā.ūñ
par mujhe Dar hai ki vo dekh ke Dar jā.eñge
ham nahīñ vo jo kareñ ḳhuun kā da.avā tujh par
balki pūchhegā ḳhudā bhī to mukar jā.eñge
aag dozaḳh kī bhī ho jā.egī paanī paanī
jab ye aasī araq-e-sharm se tar jā.eñge
nahīñ pā.egā nishāñ koī hamārā hargiz
ham jahāñ se ravish-e-tīr-e-nazar jā.eñge
sāmne chashm-e-guhar-bār ke kah do dariyā
chaḌh ke gar aa.e to nazroñ se utar jā.eñge
laa.e jo mast haiñ turbat pe gulābī āñkheñ
aur agar kuchh nahīñ do phuul to dhar jā.eñge
ruḳh-e-raushan se naqāb apne ulaT dekho tum
mehr-o-māh nazroñ se yāroñ kī utar jā.eñge
ham bhī dekheñge koī ahl-e-nazar hai ki nahīñ
yaañ se jab ham ravish-e-tīr-e-nazar jā.eñge
'zauq' jo madrase ke bigḌe hue haiñ mullā
un ko mai-ḳhāne meñ le aao sañvar jā.eñge