Sheikh Ibrahim Zauq

aate hi tu ne ghar ke phir jaane ki sunai

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
aate hī tū ne ghar ke phir jaane kī sunā.ī
rah jā.ūñ sun na kyūñkar ye to burī sunā.ī
majnūñ o kohkan ke sunte the yaar qisse
jab tak kahānī ham ne apnī na thī sunā.ī
shikva kiyā jo ham ne gaalī kā aaj us se
shikve ke saath us ne ik aur bhī sunā.ī
kuchh kah rahā hai nāseh kyā jaane kyā kahegā
detā nahīñ mujhe to ai be-ḳhudī sunā.ī
kahne na paa.e us se saarī haqīqat ik din
aadhī kabhī sunā.ī aadhī kabhī sunā.ī
sūrat dikhā.e apnī dekheñ vo kis tarah se
āvāz bhī na ham ko jis ne kabhī sunā.ī
qīmat meñ jins-e-dil kī māñgā jo 'zauq' bosa
kyā kyā na us ne ham ko khoTī-kharī sunā.ī
Top Urdushayar.com