Sheikh Ibrahim Zauq

mar kar tir jo wo dilbar-e-jaani mange

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
maar kar tiir jo vo dilbar-e-jānī māñge
kah do ham se na koī de ke nishānī māñge
ai sanam dekh ke har dam kī tirī kam-suḳhanī
maut ghabrā ke na kyuuñ ye ḳhafaqānī māñge
ḳhaak se tishna-e-dīdār ke sabza jo uThe
to zabāñ apnī nikāle hue paanī māñge
mār-e-pechāñ to balā haigā magar tū ai zulf
hai vo kāfir ki na kaaTā tirā paanī māñge
dahan-e-yār ho aur māñge kisī se dil ko
vo jo māñge to ba-andāz-e-nihānī māñge
dil mirā bosa-ba-paiġhām nahīñ hai hamdam
yaar letā hai to le apnī zabānī māñge
jalva us ālam-e-ma.anī kā jo dekhe ai 'zauq'
lutf-e-alfāz na be-husn-e-ma.ānī māñge
Top Urdushayar.com