Sheikh Ibrahim Zauq

ek sadma dard-e-dil se meri jaan par to hai

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
ik sadma dard-e-dil se mirī jaan par to hai
lekin balā se yaar ke zaanū pe sar to hai
aanā hai un kā aanā qayāmat kā dekhiye
kab aa.eñ lekin aane kī un ke ḳhabar to hai
hai sar shahīd-e-ishq kā zeb-e-sinān-e-yār
sad shukr baare naḳhl-e-vafā bārvar to hai
mānind-e-sham.a girya hai kyā shuġhl-e-turfa-tar
ho jaatī raat us meñ balā se basar to hai
hai dard dil meñ gar nahīñ hamdard mere paas
dil-soz koī gar nahīñ soz-e-jigar to hai
ai dil hujūm-e-dard-o-alam se na tañg ho
ḳhāna-ḳharāb ḳhush ho ki ābād ghar to hai
turbat pe dil-jaloñ kī nahīñ gar charāġh o gul
siine meñ sozish-e-dil o dāġh-e-jigar to hai
ġhā.eb meñ jo kahā so kahā phir bhī hai ye shukr
ḳhāmosh ho gayā vo mujhe dekh kar to hai
kashti-e-bahr-e-ġham hai mire haq meñ teġh-e-yār
kar detī ek dam meñ idhar se udhar to hai
vo dil ki jis meñ soz-e-mohabbat na hove 'zauq'
behtar hai sañg us se ki us meñ sharar to hai
Top Urdushayar.com