dil bache kyūñkar butoñ kī chashm-e-shoḳh-o-shañg se
apnā ghar to sūjhtā hai saikḌoñ farsañg se
ek bhī nikle na merī sī fuġhān-e-dil-ḳharāsh
garche ḳhuuñ Tapke gulū-e-murġh-e-ḳhush-āhañg se
chhup ke baiThegā kahāñ tū ham se ai rañgīñ-navā
hogā tū jis rañg meñ mil jā.eñge us rañg se
bal be-bārīkī ki goyā har tirā tār-e-suḳhan
jantarī meñ khiñch ke niklā hai dahān-e-tañg se
ai taġhāful-kesh jaldī aa ki tū vāqif nahīñ
is dil-e-betāb o jān-e-muztarib ke Dhañg se
josh-e-girya se rahī barsāt barsoñ par kabhī
us kī teġh-e-tez ālūda na dekhī zañg se
mere girye ke asar se ho ga.e patthar bhī aab
jhaḌte haiñ jā-e-sharar paanī ke qatre sañg se
pahle ye nīyat vazū kī hai namāz-e-ishq meñ
dil se kah diije ki dhove haath naam o nañg se
'zauq' zebā hai jo ho rīsh-e-safed-e-shaiḳh par
vasma āb-e-bañg se mehñdī mai-e-gul-rañg se