zaḳhmī huuñ tire nāvak-e-duz-dīda-nazar se
jaane kā nahīñ chor mire zaḳhm-e-jigar se
ham ḳhuub haiñ vāqif tire andāz-e-kamar se
ye taar nikaltā hai koī dil ke guhar se
phir aa.e agar jiite vo ka.abe ke safar se
to jaano phire shaiḳh-jī allāh ke ghar se
sarmāya-e-ummīd hai kyā paas hamāre
ik aah hai siine meñ so na-ummīd asar se
vo ḳhulq se pesh aate haiñ jo faiz-rasāñ haiñ
haiñ shāḳh-e-samar-dār meñ gul pahle samar se
hāzir haiñ mire jazba-e-vahshat ke jilau meñ
bāñdhe hue kohsār bhī dāman ko kamar se
labrez mai-e-sāf se hoñ jām-e-bilorīñ
zamzam se hai matlab na safā se na hajar se
ashkoñ meñ bahe jaate haiñ ham sū-e-dar-e-yār
maqsūd rah-e-ka.aba hai dariyā ke safar se
fariyād-e-sitam-kash hai vo shamshīr-e-kashīda
jis kā na ruke vaar falak kī bhī sipar se
khultā nahīñ dil band hī rahtā hai hamesha
kyā jaane ki aa jaa.e hai tū is meñ kidhar se
uf garmī-e-vahshat ki mirī Thokaroñ hī meñ
patthar haiñ pahāḌoñ ke uḌe jaate sharar se
kuchh rahmat-e-bārī se nahīñ duur ki saaqī
ro.eñ jo zarā mast to mai abr se barse
maiñ kushta huuñ kis chashm-e-siyah-mast kā yā rab
Tapke hai jo mastī mirī turbat ke shajar se
nāloñ ke asar se mire phoḌā sā hai paktā
kyuuñ riim sadā nikle na aahan ke jigar se
ai 'zauq' kisī hamdam-e-derīna kā milnā
behtar hai mulāqāt-e-masīhā-o-ḳhizar se