ye iqāmat hameñ paiġhām-e-safar detī hai
zindagī maut ke aane kī ḳhabar detī hai
zāl-e-duniyā hai ajab tarah kī allāma-e-dahr
mard-e-dīñ-dār ko bhī dahriya kar detī hai
baḌhtī jaatī hai jo mashq-e-sitam us zālim kī
kuchh mohabbat mirī islāh magar detī hai
fā.eda de tire bīmār ko kyā ḳhaak davā
ab to iksīr bhī diije to zarar detī hai
sham.a ghabrā na shab-e-ġham se ki koī dam meñ
tujh ko kāfūr-e-safedi-e-sahar detī hai
ġhuncha hañstā hai tire aage jo gustāḳhī se
chaTḳhanā muñh pe vahīñ bād-e-sahar detī hai
sham.a bhī kam nahīñ kuchh ishq meñ parvāne se
jaan detā hai agar vo to ye sar detī hai
dam-ba-dam zaḳhm pe ik zaḳhm hai dam lene kī
mujh ko fursat nahīñ vo teġh-e-nazar detī hai
kahte sunte nahīñ kuchh ham to shab-e-hijr meñ par
nāla-e-dil kā javāb āh-e-jigar detī hai
tīra-baḳhtī mirī kartī hai pareshāñ mujh ko
tohmat is zulf-e-siyah-fām pe dhar detī hai
naḳhl-e-mizhgāñ se hai kyā jāniye kyā chashm-e-samar
chashm paanī kī jagah ḳhūn-e-jigar detī hai
detī sharbat hai kise zahr bharī aañkh tirī
ain ehsān hai vo zahr bhī gar detī hai
koī ġhammāz nahīñ merī taraf se ai 'zauq'
kaan us ke mirī fariyād hī bhar detī hai