āsmāñ par bane the chehre se
log yaad aa.e bhūle-bisre se
kitne sūraj zamīn meñ so.e
nuur phūTegā zarre zarre se
aañkh meñ aa gayā hai ik aañsū
dasht sairāb ek qatre se
sabz-mausam hai sahn meñ lekin
zard-rut jhāñktī hai kamre se
umr kitnī bhī ho magar shohrat
baaz aatī kahāñ hai naḳhre se
ġham bhī darvesh ho gayā 'fārūq'
kam nikaltā hai apne hujre se