Fahmida Mosarrat Ahmad

guzri thi ek bar jo dil ki gali se main

Fahmida Mosarrat Ahmad

Jhang, Punjab, Pakistan

1968
guzrī thī ek baar jo dil kī galī se maiñ
do-chār aaj bhī huuñ usī be-kalī se maiñ
be-zār is qadar huuñ ġham-e-āshiqī se maiñ
mujh se zarā ḳhafā hai ḳhushī aur ḳhushī se maiñ
niklī huuñ jab se DhūñDne be-laus chāhateñ
dhokā hī khā rahī huuñ baḌī sādgī se maiñ
ma.adūm us kī aañkh se pahchān ho ga.ī
jaise ki mill rahī thī kisī ajnabī se maiñ
jins-e-vafā jahān meñ nāyāb kyoñ huī
ro ro ke pūchhtī rahī har aadmī se maiñ
apnī ḳhushī se vaise basar to na kar sakī
nārāz bhī nahīñ huuñ magar zindagī se maiñ
maiñ ne bhī saaf lafzoñ meñ ġham se ye kah diyā
pīchhā chhuḌā ke aa.ī huuñ afsurdagī se maiñ
mai-ḳhāna chal ke riñd kā ḳhud pūchhtā hai haal
mānūs is tarah se huuñ ab mai-kashī se maiñ
jām-o-subū nahīñ tirī āñkhoñ se ab pilā
ai saaqī mar na jā.ūñ kahīñ tishnagī se maiñ
Top Urdushayar.com