dūd-e-dil se hai ye tārīkī mire ġham-ḳhāna meñ
sham.a hai ik sozan-e-gum-gashta is kāshāna meñ
maiñ huuñ vo ḳhisht-e-kuhan muddat se is vīrāne meñ
barsoñ masjid meñ rahā barsoñ rahā mai-ḳhāna meñ
maiñ vo kaifī huuñ ki paanī ho to ban jaa.e sharāb
josh-e-kaifiyyat se merī ḳhaak ke paimāna meñ
barq-e-ḳhirman-soz dānā.ī hai nā-fahmī tirī
varna kyā kyā lahlahāte khet haiñ har daana meñ
kis nazākat se hai dekho ittihād-e-husn-o-ishq
zulf vaañ shāne ne khīñchī dard hai yaañ shāna meñ
vahshat o nā-āshnā.ī mastī o begānagī
yā tirī āñkhoñ meñ dekhī yā tire dīvāna meñ
ishq ko nashv-o-numā manzūr hai kab varna sabz
tuḳhm-e-ashk-e-sham.a ho ḳhākistar-e-parvāna meñ
hosh kā da.avā hai behoshoñ ko zer-e-āsmāñ
ḳhum-nashīñ misl-e-falātūñ sab haiñ is ḳhum-ḳhāna meñ
pattharoñ meñ Thokareñ khātā hai nāhaq sail-e-āb
pūchho kyā le jā.egā aa kar mire ġham-ḳhāna meñ
ek patthar pūjne ko shaiḳh-jī ka.abe ga.e
'zauq' har but qābil-e-bosa hai is but-ḳhāna meñ