aañkh us pur-jafā se laḌtī hai
jaan kushtī qazā se laḌtī hai
shola bhaḌke na kyuuñ ki mahfil meñ
sham.a tujh bin havā se laḌtī hai
qismat us but se jā laḌī apnī
dekho ahmaq ḳhudā se laḌtī hai
shor-e-qulqul ye kyuuñ hai duḳhtar-e-raz
kyā kisī pārsā se laḌtī hai
nahīñ mizhgāñ kī do safeñ goyā
ik balā ik balā se laḌtī hai
nigah-e-nāz us kī āshiq se
chhūT kis kis adā se laḌtī hai
tere bīmār ke sar-e-bālīñ
maut kyā kyā shifā se laḌtī hai
zāl-e-duniyā ne sulh kī kis din
ye laḌākā sadā se laḌtī hai
vaah kyā kyā tabī.at apnī bhī
ishq meñ ibtidā se laḌtī hai
dekh us chashm-e-mast kī shoḳhī
jab kisī pārsā se laḌtī hai
terī shamshīr-e-ḳhūñ ke chhīñToñ se
chhīñTe āb-e-baqā se laḌtī hai
sach hai al-harb ḳhud.atun ai 'zauq'
nigah us kī daġhā se laḌtī hai