Sheikh Ibrahim Zauq

kya aae tum jo aae ghaDi do ghaDi ke baad

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
kyā aa.e tum jo aa.e ghaḌī do ghaḌī ke baad
siine meñ hogī saañs aḌī do ghaḌī ke baad
kyā rokā apne girye ko ham ne ki lag ga.ī
phir vo hī āñsuoñ kī jhaḌī do ghaḌī ke baad
koī ghaḌī agar vo mulā.em hue to kyā
kah baiTheñge phir ek kaḌī do ghaḌī ke baad
us lāl-e-lab ke ham ne liye bose is qadar
sab uḌ ga.ī misī kī dhaḌī do ghaḌī ke baad
allāh re zof-e-sīna se har āh-e-be-asar
lab tak jo pahuñchī bhī to chaḌhī do ghaḌī ke baad
kal us se ham ne tark-e-mulāqāt kī to kyā
phir us baġhair kal na paḌī do ghaḌī ke baad
the do ghaḌī se shaiḳh jī sheḳhī baghārte
saarī vo sheḳhī un kī jhaḌī do ghaḌī ke baad
kahtā rahā kuchh us se adū do ghaḌī talak
ġhammāz ne phir aur jaḌī do ghaḌī ke baad
parvāna gird sham.a ke shab do ghaḌī rahā
phir dekhī us kī ḳhaak paḌī do ghaḌī ke baad
tū do ghaḌī kā vaada na kar dekh jald aa
aane meñ hogī der baḌī do ghaḌī ke baad
go do ghaḌī tak us ne na dekhā idhar to kyā
āḳhir hamīñ se aañkh laḌī do ghaḌī ke baad
kyā jaane do ghaḌī vo rahe 'zauq' kis tarah
phir to na Thahre paañv ghaḌī do ghaḌī ke baad
Top Urdushayar.com