kal ga.e the tum jise bīmār-e-hijrāñ chhoḌ kar
chal basā vo aaj sab hastī kā sāmāñ chhoḌ kar
tifl-e-ashk aisā girā dāmān-e-mizhgāñ chhoḌ kar
phir na uTThā kūcha-e-chāk-e-garebāñ chhoḌ kar
kyūñki nikle terā us kā dil meñ paikāñ chhoḌ kar
jaa.e baize ko kahāñ ye murġh-e-parrāñ chhoḌ kar
jis ne ho lazzat uThā.ī zaḳhm teġh-e-ishq kī
kab vo marham-dān ko DhūñDe namak-dāñ chhoḌ kar
said-e-dil ko kyūñki chhoḌe jab ki dikhlā de na tū
machhliyāñ dast-e-hinā.ī meñ mirī jaañ chhoḌ kar
sard-mehrī se kisī kī aage hī jī sard hai
yaañ se haT jā dhuup ai abr-e-ḳhirāmāñ chhoḌ kar
dekhiye kyā ho ki hai ab jaan ke pīchhe paḌī
dil ko ai kāfir tirī zulf-e-pareshāñ chhoḌ kar
ai dil us ke tiir ke hamrāh siine se nikal
varna pachhtā.egā tū ye saath nādāñ chhoḌ kar
kyuuñ na ram kar jaa.eñ aahū aise vahshī se tire
sher bhāgeñ jis ke nāloñ se nīstāñ chhoḌ kar
surḳhi-e-pāñ dekh le zāhid jo dandāñ par tire
uTh khaḌā ho haath se tasbīh-e-marjāñ chhoḌ kar
pesh-ḳhema le ke niklā gard-bād-e-dūr-rau
hai jo sargarm-e-safar tan ko mirī jaañ chhoḌ kar
gar ḳhudā deve qanā.at māh-e-do-hafta kī tarah
dauḌe saarī ko kabhī aadhī na insāñ chhoḌ kar
sāġhar-e-dil bechtā aayā huuñ kho mat haath se
cūktā hai kyuuñ ye jins-e-dast-gardāñ chhoḌ kar
kaam ye terā hī thā rahmat ho ai abr-e-karam
varna jaa.e dāġh-e-isyāñ merā dāmāñ chhoḌ kar
paḌh ġhazal ai 'zauq' koī garm sī ab to na jā
jānib-e-mazmūn tarz-e-tufta-jānāñ chhoḌ kar