Sheikh Ibrahim Zauq

nimcha yar ne jis waqt baghal mein mara

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
nīmcha yaar ne jis vaqt baġhal meñ maarā
jo chaḌhā muñh use maidān-e-ajal meñ maarā
maal jab us ne bahut radd-o-badal meñ maarā
ham ne dil apnā uThā apnī baġhal meñ maarā
us lab o chashm se hai zindagī o maut apnī
ki kabhī pal meñ jalāyā kabhī pal meñ maarā
khīñch kar ishq-e-sitam-pesha ne shamshīr-e-jafā
pahle ik haath mujhī par thā azal meñ maarā
charḳh-e-bad-bīñ kī kabhī aañkh na phūTī sau baar
tiir naale ne mire chashm-e-zuhal meñ maarā
ajal aa.ī na shab-e-hijr meñ aur ham ko falak
be-ajal tū ne tamannā-e-ajal meñ maarā
ishq ke haath se ne qais na farhād bachā
is ko gar dasht meñ to us ko jabal meñ maarā
dil ko us kākul-e-pechāñ se na bal karnā thā
ye siyah-baḳht gayā apne hī bal meñ maarā
kaun fariyād sune zulf meñ dil kī tū ne
hai musalmān ko kāfir ke amal meñ maarā
urs kī shab bhī mirī gor pe do phuul na laa.e
patthar ik gumbad-e-turbat ke kañval meñ maarā
aañkh se aañkh hai laḌtī mujhe Dar hai dil kā
kahīñ ye jaa.e na is jañg-o-jadal meñ maarā
ham ne jaanā thā jabhī ishq ne maarā us ko
tesha farhād ne jis vaqt jabal meñ maarā
na huā par na huā 'mīr' kā andāz nasīb
'zauq' yāroñ ne bahut zor ġhazal meñ maarā
Top Urdushayar.com