Sheikh Ibrahim Zauq

baadam do jo bheje hain baTwe mein Dal kar

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
bādām do jo bheje haiñ baTve meñ Daal kar
īmāñ ye hai ki bhej de āñkheñ nikāl kar
dil siine meñ kahāñ hai na tū dekh-bhāl kar
ai aah kah de tiir kā naama nikāl kar
utregā ek jaam bhī puurā na chaak se
ḳhāk-e-dil-e-shikasta na sarf-e-kulāl kar
le kar butoñ ne jaan jab īmāñ pe Daalā haath
dil kyā kināre ho gayā sab ko sambhāl kar
tasvīr un kī hazrat-e-dil khīñch liije gar
rakh deñge ham bhī paañv pe āñkheñ nikāl kar
qātil hai kis maze se namak-pāsh-e-zaḳhm-e-dil
bismil zarā taḌap ke namak to halāl kar
dil ko rafīq ishq meñ apnā samajh na 'zauq'
Tal jā.egā ye apnī balā tujh pe Taal kar
Top Urdushayar.com