dariyā-e-ashk chashm se jis aan bah gayā
sun lījiyo ki arsh kā aivān bah gayā
bal-be-gudāz-e-ishq ki ḳhuuñ ho ke dil ke saath
siine se tere tiir kā paikān bah gayā
zāhid sharāb piine se kāfir huā maiñ kyuuñ
kyā DeḌh chullū paanī meñ īmān bah gayā
hai mauj-e-bahr-e-ishq vo tūfāñ ki al-hafīz
bechāra musht-e-ḳhāk thā insān bah gayā
dariyā-e-ashk se dam-e-tahrīr hāl-e-dil
kashtī kī tarah merā qalam-dān bah gayā
ye ro.e phuuT phuuT ke paanī ke aable
naala sā ek sū-e-bayābān bah gayā
thā tū bahā meñ besh par us lab ke sāmne
sab mol terā lāl-e-badaḳhshān bah gayā
kashtī savār-e-umr huuñ bahr-e-fanā meñ 'zauq'
jis dam bahā ke le gayā tūfān bah gayā
thā 'zauq' pahle dehlī meñ punjab kā sā husn
par ab vo paanī kahte haiñ multān bah gayā