Fahmida Mosarrat Ahmad

pahle atlas mein jo malbus kiye jate hain

Fahmida Mosarrat Ahmad

Jhang, Punjab, Pakistan

1968
pahle atlas meñ jo malbūs kiye jaate haiñ
phir vo aivānoñ meñ mahbūs kiye jaate haiñ
maiñ unheñ hīta-e-tahrīr meñ lā.ūñ kaise
dard likkhe nahīñ mahsūs kiye jaate haiñ
bāl-o-par kaaT ke deñ izn-e-rihā.ī kyūñ-kar
un parindoñ ko jo mānūs kiye jaate haiñ
itnī āsān nahīñ hotī hai ye rāh-e-suḳhan
paar is meñ ka.ī qāmūs kiye jaate haiñ
in pe to aap hī jhuk jaatī hai rab kī rahmat
jo bhī is duniyā se māyūs kiye jaate haiñ
kyoñ na hoñ zer-o-zabar taḳht-e-'masarrat' un ke
raqs jab sāya-e-tā.ūs kiye jaate haiñ
Top Urdushayar.com