Sheikh Ibrahim Zauq

rind-e-KHarab-haal ko zahid na chheD tu

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
rind-e-ḳharāb-hāl ko zāhid na chheḌ tū
tujh ko parā.ī kyā paḌī apnī nabeḌ tū
nāḳhun ḳhudā na de tujhe ai panja-e-junūñ
degā tamām aql ke baḳhiye udheḌ tū
is said-e-muztarib ko tahammul se zab.h kar
dāmān o āstīñ na lahū meñ laTheḌ tū
chhuTtā hai kaun mar ke giraftār-e-dām-e-zulf
turbat pe us kī jaal kā pā.egā peḌ tū
ai zāhid-e-do-rañg na piir aap ko banā
mānind-e-sub.h-e-kāzib abhī hai adheḌ tū
ye tañgnā.e-dahr nahīñ manzil-e-farāġh
ġhāfil na paañv hirs ke phailā sukeḌ tū
ho qat.a naḳhl-e-ulfat agar phir bhī sabz ho
kyā ho jo pheñke jaḌ hī se us ko ukheḌ tū
jo sotī bhiiḌ bā.is-e-ġhauġhā jagā.e phir
darvāza ghar kā us sag-e-duniyā pe bheḌ tū
umr-e-ravāñ kā tausan-e-chālāk is liye
tujh ko diyā ki jald kare yaañ se eḌ tū
āvārgī se kū-e-mohabbat kī haath uThā
ai 'zauq' ye uThā na sakegā khakheḌ tū
Top Urdushayar.com