Sheikh Ibrahim Zauq

jo kuchh ki hai duniya mein wo insan ke liye hai

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
jo kuchh ki hai duniyā meñ vo insāñ ke liye hai
ārāsta ye ghar isī mehmāñ ke liye hai
zulfeñ tirī kāfir unheñ dil se mire kyā kaam
dil kaaba hai aur kaaba musalmāñ ke liye hai
ho qaid-e-tafakkur se kab āzād suḳhan-var
manzūr qafas murġh-e-ḳhush-alhāñ ke liye hai
apnoñ se na mil apne haiñ sab apnoñ ke dushman
har nai meñ bharī aag nīstāñ ke liye hai
kuchh baḳht se mere jo sivā hai vo siyāhī
baaqī hai to merī shab-e-hijrāñ ke liye hai
dīvāna huuñ maiñ bhī vo tamāshā ki mirā zikr
goyā sabaq atfāl-e-dabistāñ ke liye hai
hai bāda-kashoñ ke liye ik ġhaib se tā.īd
zāhid jo duā māñgtā bārāñ ke liye hai
changul meñ hai muuzī ke dil us chashm ke hāthoñ
gherā ye ġhazab panja-e-mizhgāñ ke liye hai
maiñ kis kī nigāhoñ kā huuñ vahshī ki mirī ḳhaak
ik kohl-e-basar chashm-e-ġhazālāñ ke liye hai
dil bhī hai balā qābil-e-mashq-e-sitam-o-nāz
jo tiir hai us tūda-e-tūfāñ ke liye hai
nikle koī kyā qaid-e-alā.iq se ki ai 'zauq'
dar hī nahīñ is ḳhāna-e-zindāñ ke liye hai
Top Urdushayar.com