Sheikh Ibrahim Zauq

ai zauq waqt nale ke rakh le jigar pe hath

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
ai 'zauq' vaqt naale ke rakh le jigar pe haath
varna jigar ko ro.egā tū dhar ke sar pe haath
chhoḌā na dil meñ sabr na ārām ne qarār
terī nigah ne saaf kiyā ghar ke ghar pe haath
khaa.e hai is maze se ġham-e-ishq merā dil
jaise gurisna maare hai halvā-e-tar pe haath
ḳhat de ke chāhtā thā zabānī bhī kuchh kahe
rakkhā magar kisī ne dil-e-nāma-bar pe haath
juuñ pañch-shāḳha tū na jalā uñgliyāñ tabīb
rakh rakh ke nabz-e-āshiq-e-tafta-jigar pe haath
qātil ye kyā sitam hai ki uThtā nahīñ kabhī
aa kar mazār-e-kushta-e-teġh-e-nazar pe haath
maiñ nā-tavāñ huuñ ḳhaak kā parvāne kī ġhubār
uThtā huuñ rakh ke dosh-e-nasīm-e-sahar pe haath
ai sham.a ek chor hai baadī ye bād-e-sub.h
maare hai koī dam meñ tire tāj-e-zar pe haath
ai 'zauq' maiñ to baiTh gayā dil ko thaam kar
is naaz se khaḌe the vo rakh kar kamar pe haath
Top Urdushayar.com