koī in tañg-dahānoñ se mohabbat na kare
aur jo ye tañg kareñ muñh se shikāyat na kare
ishq ke daaġh ko dil mohr-e-nabuvvat samjhā
Dar hai kāfir kahīñ dāvā-e-nabūvat na kare
hai jarāhat kā mirī sauda-e-almās ilaaj
fā.eda us ko kabhī sañg-e-jarāhat na kare
har qadam par mire ashkoñ se ravāñ hai dariyā
kyā kare jaada agar tark-e-rifāqat na kare
aaj tak ḳhuuñ se mire tar hai zabān-e-ḳhanjar
kyā kare jab ki talab koī shahādat na kare
hai ye insāñ baḌe ustād kā shāgird-e-rashīd
kar sake kaun agar ye bhī ḳhilāfat na kare
bin jale sham.a ke parvāna nahīñ jal saktā
kyā baḌhe ishq agar husn hī sabqat na kare
phir chalā maqtal-e-ushshāq kī jānib qātil
sar pe barpā kahīñ kushtoñ ke qayāmat na kare