vaqt-e-pīrī shabāb kī bāteñ
aisī haiñ jaise ḳhvāb kī bāteñ
phir mujhe le chalā udhar dekho
dil-e-ḳhāna-ḳharāb kī bāteñ
vā.izā chhoḌ zikr-e-nemat-e-ḳhuld
kah sharāb-o-kabāb kī bāteñ
mah-jabīñ yaad haiñ ki bhuul ga.e
vo shab-e-māhtāb kī bāteñ
harf aayā jo aabrū pe mirī
haiñ ye chashm-e-pur-āb kī bāteñ
sunte haiñ us ko chheḌ chheḌ ke ham
kis maze se itaab kī bāteñ
jām-e-mai muñh se tū lagā apne
chhoḌ sharm o hijāb kī bāteñ
mujh ko rusvā kareñgī ḳhuub ai dil
ye tirī iztirāb kī bāteñ
jaao hotā hai aur bhī ḳhafaqāñ
sun ke nāseh janāb kī bāteñ
qissa-e-zulf-e-yār dil ke liye
haiñ ajab pech-o-tāb kī bāteñ
zikr kyā josh-e-ishq meñ ai 'zauq'
ham se hoñ sabr o taab kī bāteñ