Sheikh Ibrahim Zauq

chashm-e-qatil hamein kyunkar na bhala yaad rahe

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
chashm-e-qātil hameñ kyūñkar na bhalā yaad rahe
maut insān ko lāzim hai sadā yaad rahe
merā ḳhuuñ hai tire kūche meñ bahā yaad rahe
ye bahā vo nahīñ jis kā na bahā yaad rahe
kushta-e-zulf ke marqad pe tū ai lailā-vash
bed-e-majnūñ hī lagā tā-ki patā yaad rahe
ḳhāksārī hai ajab vasf ki juuñ juuñ ho sivā
ho safā aur dil-e-ahl-e-safā yaad rahe
ho ye labbaik-e-haram yā ye azān-e-masjid
mai-kasho qulqul-e-mīnā kī sadā yaad rahe
yaad us vāda-farāmosh ne ġhairoñ se badī
yaad kuchh kam to na thī aur sivā yaad rahe
ḳhat bhī likhte haiñ to lete haiñ ḳhatā.ī kāġhaz
dekhiye kab tak unheñ merī ḳhatā yaad rahe
do varaq meñ kaf-e-hasrat ke do aalam kā hai ilm
sabaq-e-ishq agar tujh ko dilā yaad rahe
qatl-e-āshiq pe kamar bāñdhī hai ai dil us ne
par ḳhudā hai ki use naam mirā yaad rahe
tā.er-e-qibla-numā ban ke kahā dil ne mujhe
ki taḌap kar yuuñ hī mar jā.egā jā yaad rahe
jab ye dīñ-dār haiñ duniyā kī namāzeñ paḌhte
kaash us vaqt unheñ nām-e-ḳhudā yaad rahe
ham pe sau baar jafā ho to rakho ek na yaad
bhuul kar bhī kabhī hove to vafā yaad rahe
mahv itnā bhī na ho ishq-e-butāñ meñ ai 'zauq'
chāhiye bande ko har vaqt ḳhudā yaad rahe
Top Urdushayar.com