Sheikh Ibrahim Zauq

kahan talak kahun saqi ki la sharab to de

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
kahāñ talak kahūñ saaqī ki lā sharāb to de
na de sharāb Dubo kar koī kabāb to de
bujhegā soz-e-dil ai girya pal meñ aab to de
digar hai aag meñ duniyā yuuñ hī azaab to de
guzarne gar ye mire sar se itnā aab to de
ki sar pe charḳh bhī dikhlā.ī juuñ habāb to de
hazāroñ tishna jigar kis se hoeñge sairāb
ḳhudā ke vāste teġh-e-sitam ko aab to de
tumhāre matla-e-abrū pe ye kahe hai ḳhaal
ki aisā nuqta koī vaqt-e-intiḳhāb to de
dar-e-qubūl hai darbāñ na band kar dar-e-yār
duā-e-ḳhair mirī hone mustajāb to de
khule hai naaz se gulshan meñ ġhuncha-e-nargis
zarā dikhā to use chashm-e-nīm-ḳhvāb to de
balā se aap na aa.eñ pe aadmī un kā
tasallī aa ke mujhe vaqt-e-iztirāb to de
huā bagūle meñ hai kushtagān-e-zulf kī ḳhaak
ki bād-e-marg bhī mālūm pech-o-tāb to de
balā se kam na ho girye se merā soz-e-jigar
bujhā par un kī zarā ātash-e-itāb to de
shahīd kījiyo qātil abhī na kar jaldī
Thaharne mujh ko tah-e-teġh-e-iztirāb to de
shikār-e-basta-e-fitrāk ko tire maqdūr
huā na ye bhī ki bosa sar-e-rikāb to de
dil-e-birishta ko mere na chhoḌo mai-ḳhvāro
jo lazzat us meñ hai aisā mazā kabāb to de
nashe meñ hosh kise jo gine hisāb kare
jo tujh ko denā haiñ bose bilā hisāb to de
javāb-e-nāma nahīñ gar to rakh do nāma-e-yār
jo pūchheñ qabr meñ āshiq se kuchh javāb to de
rakhe hai hausla dariyā kab ahl-e-himmat kā
nahīñ ye itnā ki bhar kāsa-e-habāb to de
kahāñ bujhī hai tah-e-ḳhāk merī ātish-e-dil
kaho havā se hilā dāman-e-sahāb to de
ḳhunuk diloñ kī agar āh-e-sard dozaḳh meñ
paḌe to vāqa.ī ik baar aag daab to de
karegā qatl vo ai 'zauq' tujh ko surme se
nigah kī teġh ko hone siyāh-tāb to de
pahuñch rahūñgā sar-e-manzil-e-fanā ai 'zauq'
misāl-e-naqsh-e-qadam karne pā-turāb to de
Top Urdushayar.com