maza thā ham ko jo lailā se dū-ba-dū karte
ki gul tumhārī bahāroñ meñ aarzū karte
maze jo maut ke āshiq bayāñ kabhū karte
masīh o ḳhizr bhī marne kī aarzū karte
ġharaz thī kyā tire tīroñ ko āb-e-paikāñ se
magar ziyārat-e-dil kyuuñ ki be-vazū karte
ajab na thā ki zamāne ke inqilāb se ham
tayammum aab se aur ḳhaak se vazū karte
agar ye jānte chun chun ke ham ko toḌeñge
to gul kabhī na tamannā-e-rañg-o-bū karte
samajh ye dār-o-rasan tār-o-sozan ai mansūr
ki chāk-e-parda haqīqat kā haiñ rafū karte
yaqīñ hai sub.h-e-qayāmat ko bhī subuhuhī-kash
uTheñge ḳhvāb se saaqī subū subū karte
na rahtī yūsuf-e-kan.āñ kī garmi-e-bāzār
muqāble meñ jo ham tujh ko rū-ba-rū karte
chaman bhī dekhte gulzār-e-ārzū kī bahār
tumhārī bād-e-bahārī meñ aarzū karte
surāġh umr-e-guzishta kā kījiye gar 'zauq'
tamām umr guzar jaa.e justujū karte