Sheikh Ibrahim Zauq

kya gharaz lakh KHudai mein hon daulat wale

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
kyā ġharaz laakh ḳhudā.ī meñ hoñ daulat vaale
un kā banda huuñ jo bande haiñ mohabbat vaale
chāheñ gar chāra jarāhat kā mohabbat vaale
becheñ almās o namak sañg-e-jarāhat vaale
ga.e jannat meñ agar soz-e-mohabbat vaale
to ye jaano rahe dozaḳh hī meñ jannat vaale
sāqiyā hoñ jo subūhī kī na aadat vaale
sub.h-e-mahshar ko bhī uTTheñ na tire matvāle
duḳhtar-e-raz ko nahīñ chheḌte haiñ matvāle
hazar us fāhisha se karte haiñ hurmat vaale
rahe juuñ shīsha-e-sā.at vo mukaddar donoñ
kabhī mil bhī ga.e do dil jo kudūrat vaale
kis maraz kī haiñ davā ye lab-e-jāñ-baḳhsh tire
jāñ-ba-lab haiñ tire āzār-e-mohabbat vaale
hirs ke phailte haiñ paañv ba-qadr-e-us.at
tañg hī rahte haiñ duniyā meñ farāġhat vaale
haa.e re hasrat-e-dīdār mirī haa.e ko bhī
likhte haiñ hā-e-do-chashmī se kitābat vaale
nahīñ juz sham.a mujāvir mirī bālīn-e-mazār
nahīñ juz kasrat-e-parvāna ziyārat vaale
na shikāyat hai karam kī na sitam kī ḳhvāhish
dekh to ham bhī haiñ kyā sabr o qanā.at vaale
kyā tamāshā hai ki misl-e-mah-e-nau apnā faroġh
jānte apnī hiqārat ko haiñ shohrat vaale
dil se kuchh kahtā huuñ maiñ mujh se hai kuchh kahtā dil
donoñ ik haal meñ haiñ rañj o musībat vaale
tū gar aa jaa.e to ai dard-e-mohabbat kī davā
mire hamdard hoñ bedard fazīhat vaale
chhoḌ dete haiñ qalam juuñ qalam-e-ātish-bāz
mirī sharh-e-tapish-e-dil kī kitābat vaale
kabhī afsos hai aatā kabhī ronā aatā
dil-e-bīmār ke haiñ do hī ayādat vaale
tū mire haal se ġhāfil hai par ai ġhaflat-kesh
tere andāz-e-taġhāful nahīñ ġhaflat vaale
ham ne dekhā hai jo us but meñ nahīñ kah sakte
ki mubādā kahīñ sun paa.eñ sharī.at vaale
naaz hai gul ko nazākat pe chaman meñ ai 'zauq'
us ne dekhe hī nahīñ nāz-o-nazākat vaale
Top Urdushayar.com