Fahmida Mosarrat Ahmad

bin piye ek KHumar tha kya tha

Fahmida Mosarrat Ahmad

Jhang, Punjab, Pakistan

1968
bin piye ik ḳhumār thā kyā thā
terā chehra bahār thā kyā thā
vo rah-e-ishq meñ junūñ apnā
dil jo tujh par nisār thā kyā thā
vo mirā vahm yā haqīqat thī
terī nazroñ meñ pyaar thā kyā thā
bazm meñ terī mehrbāñ the bahut
merā un meñ shumār thā kyā thā
vaqt-e-ruḳhsat kisī kī āñkhoñ meñ
chhāyā kaisā ġhubār thā kyā thā
vo bhī royā thā dard-e-furqat meñ
lag rahā ashk-bār thā kyā thā
tere dil meñ sadā khaTaktā rahā
bad-gumānī kā ḳhaar thā kyā thā
kar ke phir mere e'tibār kā ḳhuun
jo gayā hai vo yaar thā kyā thā
ham the uljhan meñ aap bhī chup the
kaun sar par savār thā kyā thā
maiñ to mar kar bhī muntazir hī rahī
vo tirā intizār thā kyā thā
Top Urdushayar.com