lete hī dil jo āshiq-e-dil-soz kā chale
tum aag lene aa.e the kyā aa.e kyā chale
tum chashm-e-surmagīñ ko jo apnī dikhā chale
baiThe biThā.e ḳhaak meñ ham ko milā chale
dīvāna aa ke aur bhī dil ko banā chale
ik dam to Thahro aur bhī kyā aa.e kyā chale
ham lutf-e-sair-e-bāg-e-jahāñ ḳhaak uḌā chale
shauq-e-visāl dil meñ liye yaar kā chale
ġhairoñ ke saath chhoḌ ke tum naqsh-e-pā chale
kyā ḳhuub phuul gor pe merī chaḌhā chale
dikhlā ke mujh ko nargis-e-bīmār kyā chale
āvāra misl-e-āhu-e-sahrā banā chale
ai ġham mujhe tamām shab-e-hijr meñ na khā
rahne de kuchh ki sub.h kā bhī nāshtā chale
bal-be ġhurūr-e-husn zamīñ par na rakkhe paañv
mānind-e-āftāb vo be-naqsh-e-pā chale
kyā le chale galī se tirī ham ko juuñ nasīm
aa.e the sar pe ḳhaak uḌāne uḌā chale
afsos hai ki sāya-e-murġh-e-havā kī tarah
ham jis ke saath saath chaleñ vo judā chale
kyā dekhtā hai haath mirā chhoḌ de tabīb
yaañ jaan hī badan meñ nahīñ nabz kyā chale
qātil jo tere dil meñ rukāvaT na ho to kyuuñ
ruk ruk ke mere halq pe ḳhanjar tirā chale
le jaa.eñ tere kushte ko jannat meñ bhī agar
phir phir ke tere ghar kī taraf dekhtā chale
ālūda chashm meñ na huī surme se nigāh
dekhā jahāñ se saaf hī ahl-e-safā chale
roz-e-azal se zulf-e-mo.ambar kā hai asiir
kyā uḌ ke tujh se tā.ir-e-nik.hat bhalā chale
saath apne le ke tausan-e-umr-e-ravāñ ko aah
ham is sarā-e-dahar meñ kyā aa.e kyā chale
suljhā.ī zulfeñ kyā lab-e-dariyā pe aap ne
har mauj misl-e-mār-siyah tum banā chale
duniyā meñ jab se aa.e rahā ishq-e-gul-ruḳhāñ
ham is jahāñ meñ misl-e-sabā ḳhaak uḌā chale
qātil se daḳhl kyā hai ki jāñ-bar ho apnā hosh
gar uḌ ke misl-e-tā.er rañg-e-hinā chale
fikr-e-qanā.at un ko mayassar huī kahāñ
duniyā se dil meñ le ke jo hirs-o-havā chale
is rū-e-ātishīñ ke tasavvur meñ yād-e-zulf
yaanī ġhazab hai aag lage aur havā chale
ai 'zauq' hai ġhazab nigah-e-yār al-hafīz
vo kyā bache ki jis pe ye tīr-e-qazā chale