ga.iiñ yāroñ se vo aglī mulāqātoñ kī sab rasmeñ
paḌā jis din se dil bas meñ tire aur dil ke ham bas meñ
kabhī milnā kabhī rahnā alag mānind mizhgāñ ke
tamāsha kaj-sirishtoñ kā hai kuchh iḳhlās ke bas meñ
tavaqqo kyā ho jiine kī tire bīmār-e-hijrāñ ke
na jumbish nabz meñ jis kī na garmī jis ke malmas meñ
dikhā.e chīra-dastī aah bālādast gar apnī
to maare haath dāmān-e-qayāmat charḳh-e-atlas meñ
jo hai gosha-nashīñ tere ḳhayāl-e-mast-e-abrū meñ
vo hai bait-us-sanam meñ bhī to hai baitul-muqaddas meñ
kare lab-āshnā harf-e-shikāyat se kahāñ ye dam
tire mahzūn-e-be-dam meñ tire maftūn-e-bekas meñ
havā-e-kū-e-jānāñ le uḌe us ko ta.ajjub kyā
tan-e-lāġhar meñ hai jaañ is tarah jis tarah bū ḳhas meñ
mujhe ho kis tarah qaul-o-qasam kā e'tibār un ke
hazāroñ de chuke vo qaul lākhoñ khā chuke qasmeñ
hue sab jam.a mazmūñ 'zauq' dīvān-e-do-ālam ke
havās-e-ḳhamsa haiñ insāñ ke vo band-e-muḳhammas meñ