Fahmida Mosarrat Ahmad

kuchh roz chahaton ka ajab silsila raha

Fahmida Mosarrat Ahmad

Jhang, Punjab, Pakistan

1968
kuchh roz chāhatoñ kā ajab silsila rahā
vo dhaḌkanoñ meñ pyaar kī sūrat basā rahā
ik shaḳhs jis ko dil se bhulāyā thā baar baar
ye dil ki phir bhī us ko sadā sochtā rahā
jis ke junūñ meñ ham ne bitā dī tamām umr
ye kyā ki umr bhar hī vo ham se ḳhafā rahā
ye sach hai mujh se haath chhuḌā kar vo jā chukā
jaatā use maiñ duur talak dekhtā rahā
tum us kī be-ruḳhī pe pareshāñ ho kis liye
dil toḌnā to us kā sadā mashġhala rahā
chāhat meñ apnā zauq-e-safar bhī ajiib thā
us se hī shauq-e-husn-e-'masarrat' sajā rahā
Top Urdushayar.com