ho sake to mujhe ik shaam ināyat karnā
barpā is dil pe mirī jaan qayāmat karnā
phir tirī yaad meñ raqsāñ hai mirī vahshat-e-dil
kitnā mushkil hai tirī yaad ko ruḳhsat karnā
aisā TuuTā hai taġhāful pe kisī ke ye dil
ham se ro ro ke kahe ab na mohabbat karnā
pyaar ke naam pe be-mol hī bik jaate haiñ
ham ko aatā nahīñ jazboñ kī tijārat karnā
hai navāzā tujhe rāziq ne to phir ai insāñ
jitnī mumkin ho tū duniyā meñ saḳhāvat karnā
jaan le kahtī huuñ lalkār ke maiñ tujh se adū
maiñ ne sīkhā hai sadā sach kī himāyat karnā
ham ne thāmā hai jo insāf kā dāman yaaro
ham se hargiz nahīñ ummīd-e-ri.āyat karnā