zaat jab bhī uḌaan tak pahuñchī
vus.at-e-lā-makān tak pahuñchī
jab haqīqat gumān tak pahuñchī
ik na.e imtihān tak pahuñchī
baat phailā.ī thī jo dushman ne
dekho vo mehrbān tak pahuñchī
kashtiyāñ sab jalā ke aa.ī thī
jab vo tere makān tak pahuñchī
ik tirā naam kyā liyā ham ne
baat tīr-o-kamān tak pahuñchī
rāz-dāñ se kahī thī chupke se
baat saare jahān tak pahuñchī
ab tire intizār meñ ai dost
muskurāhaT thakān tak pahuñchī
oḌh kar zabt kī ridā paiham
hausle kī chaTān tak pahuñchī
āḳhir-e-shab duā 'masarrat' kī
jā ke phir āsmān tak pahuñchī