de ga.e zaḳhm mire chāhne vaale mujh ko
aaj tanhā huuñ bahut koī sambhāle mujh ko
Dūbne vaale ko tinke kā sahārā bhī bahut
koī aisā ho ki aa kar jo bachā le mujh ko
vo jo kahte the ki jīvan kī ḳhushī ho tum hī
kar ga.e aaj vahī ġham ke havāle mujh ko
dil-e-sad-chāk ko vo ḳhaar se kartā hai rafū
haa.e ye baḳhiya-garī maar na Daale mujh ko
ek muddat se maiñ ḳhud se bhī huuñ rūThī rūThī
ai mirī jaan kabhī aa ke manā le mujh ko
hai safar dasht kā mushkil to magar himmat kar
hausla dene lage paañv ke chhāle mujh ko
yaad aatī hai mujhe maañ kī vo mamtā aksar
laaD se jab vo khilātī thī nivāle mujh ko