mil jaa.e amaañ duniyā meñ pal bhar nahīñ lagtā
pā jaa.eñ sukūñ dā.imī mar kar nahīñ lagtā
paanī kī talab laa.ī kahāñ se ye kahāñ pe
sahrā sā to lagtā hai ye sāgar nahīñ lagtā
is kūcha-e-dilbar meñ ye kyā ḳhaak uḌī hai
vo to nahīñ us kā koī ham-sar nahīñ lagtā
ik roz na mil paa.eñ guzārā nahīñ hotā
har roz hī milte haiñ ye mil kar nahīñ lagtā
har din kī tarah din bhī ye kaaTe se kaTegā
ye shab bhī guzar jā.egī aksar nahīñ lagtā
kuchh din se ajab be-kalī ghere hai tasavvur
kuchh din se mujhe apnā hī ghar ghar nahīñ lagtā