hamārī ḳhvāhishoñ meñ sargirānī bhī kahāñ thī
aur us ko zindagī ham se nibhānī bhī kahāñ thī
havā le aa.ī thī is shahr meñ ai dost varna
abhī pesh-e-nazar naql-e-makānī bhī kahāñ thī
tumhārā naqsh in āñkhoñ se dhultā bhī to kaise
ki dariyā meñ vo pahlī sī ravānī bhī kahāñ thī
vo apne zo.am meñ bichhḌā magar maiñ sochtā huuñ
hamāre darmiyāñ koī kahānī bhī kahāñ thī
bahut jaldī chale aa.e haiñ ham kār-e-jahāñ se
vagarna zindagī itnī purānī bhī kahāñ thī