dimāġh un ke tajassus meñ jism ghar meñ rahā
maiñ apne ghar hī meñ rahte hue safar meñ rahā
vo ḳhaak chhānne vāloñ kā dard kyā jaane
tamām umr jo mahfūz apne ghar meñ rahā
maiñ ham-kanār kabhī ho sakā na manzil se
hamesha halqa-e-aḳhlāq-e-rāhbar meñ rahā
maiñ jis ke vāste bhaTkā kiyā zamāne meñ
vo ashk ban ke sadā merī chashm-e-tar meñ rahā
miTā sakā na adāvat zamīn par insāñ
kabhī ḳhalā meñ kabhī 'anjum'-o-qamar meñ rahā