Saifi sironji

aisa nahin humse kabhi laghzish nahin hoti

Saifi sironji

aisā nahīñ ham se kabhī laġhzish nahīñ hotī
par jhūTī kabhī ham se numā.ish nahīñ hotī
kaliyāñ bhī na.ī suukh ke murjhā ga.iiñ ab to
muddat se mire shahr meñ bārish nahīñ hotī
dhartī kabhī kāñpī kabhī ākāsh bhī larzā
ik shaḳhs ko lekin zarā jumbish nahīñ hotī
khodoge zamīñ roz to niklegā dafīna
koshish jise kahte haiñ vo koshish nahīñ hotī
maanā tire dar se koī ḳhālī nahīñ jaatā
'saifī' ye magar koī navāzish nahīñ hotī
Top Urdushayar.com